kash koi hota hamsafar to vo var karta -1
dil dhadakta uska bhi mujhe bekarar karta -1
teri akhon mai base pyar ko chura lunga main
tere bikhre armano ko saja dunga main
teri akhon ki chamak ne jo haseen khwab dekha
main na janu ki mene kya din raat dekha
tere dar pe , jo deewana intjar karta
bin dekhe hi jane kyo tera deedar karta
loot gaya jo bhi teri mehfil mai hai pyar karta
hote tum una bewafa to , main ijhar karta
kash koi hota hamsafar to vo var karta - 1
dil dhadakta uska bhi mujhe bekarar karta -1
Yu na tu dekh mujhe main tera deewana hu ,
kal talak jo tha tera apna ab begana hu ,
kal ki batain vo massage vo najrana hu ,
bite lamho se jo gujra vo jamana hu .
Chod ke na ja bedardi main pervana hu .
Mere jane ke bad meri yaad ayegi ,
meri hasti meri duniya tujhe tadapayegi ,
rona na chahoge fir bhi bda rulayegi ,
fir tu kisko khegi apna kise apnayegi .
Main to marke bhi tujhe apna deedar dunga ,
apni minnat apne sajde wafa pyar dunga .
Apne dil mai rakhunga tujhko na jaan war dunga
Kash koi hota hamsafar to vo var karta ,
dil dhadkta uska bhi mujhe bekarar karta
No comments:
Post a Comment